Ab Bhi Jalta Shehar Bachaya Ja Sakta Hai,
Aik Muhabbat Aur Woh Bhi Nakam Muhabbat,
Lekin Is Se Kaam Chalaya Ja Sakta Hai,
Dil Par Pani Peene Aati Hain Umeeden,
Is Chashme Mein Zehar Milaya Ja Sakta Hai,
Mujh Benaam Se Puchte Hain Farhaad O Majnu,
Ishq Mein Kitna Naam Kamaya Ja Sakta Hai,
Phata Purana Khuwab Hai Mera Phir Bhi Tabish,
Is Mein Apna Aap Chupaya Ja Sakta Hai...
EmoticonEmoticon